zaroori tha kya?
Chalo Maan liya meine ki pyaar nahi hai tumko, Kya mujhe bhula pana itna asaan tha? Do tarfa Mohabbat ek tarfa ho gyi toh kya hua, Pyaar toh akhir pyaar hai ek tarfa hai toh kya hua? Tumko chup chup ke dekhna, Tumhare baare mein harr kisi se puchna, Tumhari khoobsurati apni shayari mein likhna, Tumhare liye logo se ladh jana, Asaan thodi hota hai, Asaan nhi hota hai tujhe kisi aur ka hote huye dekhna, Tujhko kabhi pa na saki, lagta toh yehi hai ki mujhmein koi Kami hai, Mujhe tum apni Haqeeqat mein chaiye the na ki beete huye lamhon mein, Maana sab bikhar Raha tha, Magar sambhala ja sakta tha na? Baat itni bigad gayi thi kya? Ki tumhara mujhse yun Durr chale jana, Zaroori tha kya?
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
