Yaar
Tum bhi socho zara kya guzarti hogi unpar Jo besab ho wisale yaar k leye Un ki raath kaise guzarti hogi khalish mai Jo khawahish Gharq karte ho yaar k leye Mere khayal mai Na yagana na yakta ho tum Maine doha chuna hai alfaz yaar k leye Tumhari kasmai tumhare wade boda na the Hum pather se rait ban gaye yaar k leye Ho aainaa e seemaa mere samne tum ab Kaash hum b ho Khudbeen apne yaar k leye Jab aks samne ho to kyu kare Mushahida hum Kch batai Nihaan he sahi hai mere yaar k leye
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
