Yaadein
Woh khaki wardi mein tha roop devta ka, Seena tha dhaal, aur aankhon mein junoon tha. Desh ki mitti uski jaan thi, Har saans mein tiranga ki shaan thi. Goliya chalti thi… par vo na jhuka, Aakhri dam tak sirf Bharat hi chuna. Na darr tha, na rog tha, Woh toh sirf "kartavya" ka log tha. Ek din, woh khabar aayi, Zameen ka ek sitara aasman chadh aayi. Log kehte — “Shaheed ho gaya,” Par main kehti hoon — “Amar ho gaya.” Aankh micholi ke woh pal yaad aate hain, Jab main daudti thi… Aur aap mujhe jaan bujhkar na pakadte the, Taki main thoda aur hans saku, Thoda aur jee saku. Chess ka pehla din yaad hai mujhe, Main haar gayi thi… Lekin aap jeet kar bhi mujhe jeetne diya, Apni muskaan se. Kehte the — “Tu seekh rahi hai, bas wahi kaafi hai.” Carrom board pe aap cheating karte the, Par maza tabhi aata tha… Jab main aapko pakad leti thi, Aur aap muskura ke kehte the — "Papa ka rule alag hota hai." Aapki imaandari,Aapka sach, or nyay ka sath Mujhmein aaj v zinda hai Aapne desh se pyaar karna sikhaya, Parivar se jyada desh ki seva karna sikhaya Aap gaye nahi, papa… Aap toh mitti mein ghul gaye ho, Har veer jawaan ki aankhon mein bas gaye ho, Har tirange mein lahrate ho.. Aur meri har dhadkan mein gunjte ho.
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
