Yaad Kya Hai?
Yaad kya hai...? Ek pal... jo beet gaya, Par dil se kabhi gaya hi nahi. Ek chehra... Jo aankhon se door hai, Par har dua mein paas hai. Yaad kya hai...? Ek adhuri baat... Ya poori kahani? Ek chhota sa lamha... Jo poori zindagi ban gaya. Waqt sab kuch badal deta hai, Par kuch yaadein nahi badalti. Log chale jaate hain, Par unki baatein hawa mein reh jaati hain. Kabhi hansi bankar, Kabhi aansu bankar. Agar yaadein na hoti, Toh pyaar kaise rehta? Aur agar bhool jaana itna aasaan hota, Toh dil itna rota kyun? Yaad kya hai...? Ek sawaal... Jiska jawab kisi ke paas nahi. Shayad... Yaad wahi hai, Jo chali jaati hai... Par kabhi saath chhodti nahi. -NK
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
