woh panchi is bagh ka
kuch wakt ki baat thi ek bagh mai sab panchi cheheka karte the phool apni muskaan se sab ko taza rakhta tha pahad, jharne, Nadiya badal sab mano yahi k rehkar ho gye phir ek roj ek parinda kahi chala gya phir ek aur panchi aaya kami uski khalne nhi di magar woh panchi bhi chala gya kuch din badh ek aur chala gya bagiya k panchhi jaate rahe woh ped jo ye sab dekh raha tha bura usse bhi lag raha tha naye panchi bhi aaye magar woh yaha k mahool se anjaan the kuch poorane ped aaj bhi yaad karte h ek dusre se chupake he sahi ab unki yaado k sath he sahi ek nayi shuruwat kare purani panchi ki geeto se un phoolo ko doobara khilaye phir ek bar is bagiya ko gulzaar kare taki jab woh doobara aaye toh unka bagiya waisa he dikhe
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
