"Wo Kabhi Mera Tha Hi Nahi..."
Wo kabhi mera tha hi nahi Phir bhi usme apna sab kuch dhoondhti rahi main... Agar wo mera hota, toh kya yun mujhse door chala jaata? Kya pyaar mein mujhe har baar yun tanha chhod jaata? Wo jab bhi laut aata, dil behak jaata tha mera, Khush ho jaati thi bas uski ek muskaan pe, Kyuki main usse sach mein pyar karti thi, Par usne kabhi mujhe apna samjha hi nahi... Usse bas yeh accha lagta tha ki main usse chahti hoon, Wo toh uske diye gaye zakhm tak bhool chuka hai, Aur main? Main toh aaj bhi unhi zakhmon mein zinda hoon... Raaton ko ro ro ke neend se samjhauta karti hoon... Jab wo aata hai, dil kehta hai — shayad ab sab theek ho gaya, Par sach toh yeh hai... wo kabhi mera tha hi nahi. Usne kabhi meri uljhanen nahi samjhi, Bas uljhaata raha... kabhi meri taraf dekha hi nahi. Usne mujhe duniya ke dard se rubaru karwaya, Har baar, sabse zyada dard usi ne diya... Kabhi samjha mujhe? Nahi... ek baar bhi nahi. Phir kyu mera dil maanta hi nahi? Main har baar sab kuch bhool ke usse dobara chahti hoon, Par usne kabhi mujhe chaha hi nahi. Main har baar sab kuch bhool ke usse dobara chahti hoon, Par usne kabhi mujhe chaha hi nahi... Agar wo chaahta, toh itna dard na deta, Kisi aur mein baar baar meri jagah na dhoondhta
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
