Waqt ko bhi waqt lagta hai....
Ye baatein jara dhyaan se padhna ho sake toh thoda samay apne aap ko bhi dena Is jindagi me kayi baar haarte hai hum, kayi baar toot te hai hum lekin kabhi kabhi toote dil ke saath bhi muskurate hai hum Kabhi kabhi hum itna haar jaate hai ki hum fir kabhi khudse bhi nazar nahi mila paate hai chahe kitni koshish karein hum jaise pehle kabhi hua karte the waisa fir kabhi ban nahi paate hai Kabhi kabhi waqt ko aane me bhi waqt lagta hai jo dua hum pehle maanga karte the woh kabhi kabhi tab puri hoti hai jab humara man aur dil puri tarah mar chuka hota hai Haa waqt ko aane me bhi waqt lagta hai lekin tu chinta naa kar pyaare sabka waqt ek naa ek din jarur aata hai Duniya kehti hai ki waqt sabka hai kisi ka jaldi toh kisi ka der se aata hai lekin jhuth bolte hai woh log kyu ki kayi baar waqt bhi tab aata hai jab humara sab cheezon se ye dil puri tarah uth chuka hota hai Haa ye baatein jara dhyaan se padhna ho sake toh thoda samay apne aap ko bhi dena....
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
