uska intezaar..
Kisi ka intezaar~ Ek ache lamhein ke theher jaane ka intezar, Duayon ki kubuliyat ka intezar, Dar dar bhatakna ussi ek aasha ke saath, Uss khoobsurat pal ke wapas aa jane ka intezar, Pata nhi tha, Uska mujhse yun intezaar karwana, Aur uss intezaar ki keemat itni zyada mehengi padegi, Uske saath kuch dair bitane ke liye itna tadapna padega, Pata nhi tha, Mera usse aesi mohobaat karna zaruri tha kya, Ki usse nafrat kar na saki toh kya karu? Uski vo bhuri ankhein, uski zulfe, uski baatein, uski hassi uska andaaz Toh baad ka masla tha, Uske toh naam se bhi Ishq ho chuka tha, Ek umar hai shayad jo uske bagair guzarni hai, Aur ek lamha hai jo guzara nhi jata, Mein likh rhi hu usse apne ansuon se, Ki mere baad usse koi padh he na paaye.
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
