.
Aye rab tu dekh yeh kya hogaya Kyu yeh Sara shaher so Gaya Kyu mujko yeh jene nhi dete Aye rab tu kyu mujse kho gaya Maine bhi to aahai hai bhari Meri to sari saansai bikhri Mai b to tha Tera Banda Kya mai hun itna Ganda Mujko to hai bas tujse aas Mere na hai koi aur pass Tere he karam se aaya idher Khudi shayed bikhra idher udher Karta hai kyu tu aazmaishai Kyu nhi sunta meri farmaishai Mai to Rota hun her sawere Mujse he kyu phir haath phere Mai kya tujse itna door chala Meri hai kya koi khata bhala Mai b to hun ab bht majboor Mujko Tera yeh faisla b manzoor Karde tu bas ab sabar aata Mujpe tu apna ab haq jata Yeh jo log bade audu pe hai Samajte hai jaise ghodu pe hai Zulm bada yeh karte hai Kushi se phir aahai bharte hai Tumse na yeh darte hai Inke irade b na marte hai Ab to mai kabr pe aagaya Mujpe Aisa sama cha gaya Shayed yahi meri taqdeer hai Tune likha hai to tadbeer hai Mujko na dunya samj aayi Is leye itni saza payi Maine b ab kasm hai khayi Mera bas tu he mayi,humsayi Tere irade kya hai khuda Mujko na karna khud se juda Mere raste na khud se muda Bas sunle meri yahi dua
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
