डर
dar bhalbha ke aata hai! matiya ke aata hai! dehakata hai har pal, na jane zindagi kaisi hogi kal. kya tumhe dar nhi lagta, kya tumhara dil nhi bhabhakta. dar khauf ko lata hai ummido par kala saya banata hai, dar har waqt lagta hai, dar har chiz me aata hai. Kya tumne dar ko dekha hai? btao na, kitni baar aur kab kab. kya tum usse fir milna chahoge, nahi ab bhot hua, uski aawaz aayi ab bas. dar kyu aate ho tum, kya tumhara makan nhi, kyu kr dete ho mere naso ko sunn, kya mujhe jine doge tum kabhi. dar, kya tumhe mujse pyaar hai, kyu nhi chale jate tum nikal ke sine se , bhul gaye ho kya tum, ki tumhare to aur bhi yaar.
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
