एक अधूरी कविता
Adhoori hai ek kavita jo sayad tumko sunani haii Ehsaason se piroya hai usko,, ye mehej kuch shabdon ki na kahaani hai.... Yun to Yun to ab adhoori hai apni dastaan-e-mohabbat Par phir bhi isme ek mukamal ishq ki nishani hai... Barasti boondon me aaj bhi tumhari jhalak nazar aati haii Chai ke garam pyale yun to musalsal dil ko sukoon dete hain Par tumhare pyaale se chai peene ki vo yaadein aaj bhi suhani hai Main ne bolun kuch to smjh lena Ye mehez meri aadat bachkani haii Tum nahi ho ab saath to kya hua Tumse ki mohabbat mujhe khud se hi nibhani haii Adhoori hai ek kavita jo sayad tumko sunani haii... Ab aietbaar karne ko dil raaji nahi hota Kisi ka intezaar karne ko dil raaj nahi hota Keh doon kya ki ye baat bhi ab purani haii Aaj bhi waqt ke daman ko thame intezaar kiya krti hain aankhen Aaj bhi vo baatein sbse haseen sham ki zubaani hain Main chup hoon to smjhte ho badle hain maan ke ehsaas Are ye baat sach nahi ye bhi to tmko batani haii.. Adhoori hai ek kavita jo sayad tumko sunani hai.... Adhoori hai ek kavita jo sayada tumko sunani hai..!!!!
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
