tum or me priye
Tum Ganga si pavitra koi, Main maila sa jal priya. Tum adbhut, avismaraniya saundarya koi, Main bas bahta kal priya. Tum sooraj ki pehli kiran, Main bas subah ki thandi hawa priya. Tum aarti ki wo lau ho, Jo har andhere mein de sada dua. Tum kamal si komal, Main keechad sa asthir priya. Tum shanti ki paribhasha ho, Main bas shor ka ek shringaar priya. Tumhara tej jag se nyara, Main bas chhaya tumhare ujiyare ka. Tum mein basti hai karuna saari, Aur main tujh mein khone ko tayyar priya. Tum Lakshmi si mahima wali, Main bas charanon ki raj ban jaaun. Tum ho aarambh har prem kahani ka, Aur main bas tujh mein kho jaaun.
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
