Tum
Bada nadaan hai mera dil jana Har baar tujhpe aakar rukta hai. Meri har sawal ka jawab. Akhir tujhse hi kyu milta hai ?. Tu hai toh asman suhana lagta hai. Dil mera sari raat chand - taaron se baat karta hai. Kehta hai mujhe woh kambakht tara, mai pagal ashiq hu. Chand ka kehna hai ki, woh jalta hai teri husn se. Jo Khwaab dekhta hu toh tu nazar ati hai. Har shaam teri khooshbu mujhe taza kar jati hai. Meri sari khwaishen akhir tujhse hii toh hai. Meri sare nakhre akhir tujhse hii toh hai. Tu hai toh lagta hai sab kuch hai. Jo agar tu nhi, toh jaise kuch bhi nhi. Akhir tujhse hii toh hai yeh raat, din aur sham. Tujhse hii toh toh yeh saare phool har roz khilte hai. Tujhse hii toh hai yeh saari titliyan mere angan meh. Tujhse hii toh hai yeh khooshbu mere angan meh. Acha lagta hai mujhe teri daat sunna. Acha lagta hai tera kisi baat par chidhna. Teri muskurahat, nadaniyan, nakhre, gussa. Sab kuch manzoor hai mujhe. Haa tera sab kuch bada aziz hai mujhe. Tumhe kahunga, toh sharma jaogi... Haa tumse mohabbat hai mujhe. - Vivek Gupta.
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
