Tham lay mujhe
Mera dil jo itna toot raha hai Tere siwa sunne ko meri aahen koi bhi tou nahi hai Ye zamana jo mohabbat ki baten karta hai Waqt aane pe yehi sabse pehle tanha karta hai Mola tujhse apna dukha main banton Tou tu mjhko tasalian deta hai Tere siwa meri aahen sunne wala bhi tou koi nahi Phr kiu main tujhse itna door bhaghon Jab ke tu hi tou hamesha mere itnay qareeb raha hai Mujy tunay Mola kabhi toka nahi mere gham mei mjhy roka nahi meri har takleef ko meri har aah ko tune hamesha tawajho se suna hai Mujhy pyar se hamesha jawab dia hai Phr main kiu tujhse hi door bhagon Ab tu mjhko tham lay aur thaam aisay ke apnay siwa kisi ka bhi mohtaj na banana
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
