shiv Parvati
Kailash parvat ki choti pe, Shiv ji baithe shant swapne me. Bhasm lagaye, damru bajaye, Trinetra se jag ko darshaye. Jataon me Ganga ka vaas, Hriday me shunya, vichar niyaas. Parvati ayi, prem jagaya, Tap ke bal se mann jeet laya. Himalaya ki wo suputri thi, Sahas aur shakti ki murti thi. Sahasra varshon ka tap kiya, Tab Shiv ne haath unka liya. Shiv hai vairaagya ka roop, Parvati mein prem anupam bhoop. Ek vinashak, ek srishti ka kaaran, Dono milke rachaye sansaaran. Jab Shiv tandav karte hain, Parvati samaanta bharte hain. Shakti aur Shiv, ek hi saath, Inke prem mein chhupa hai raaj. Na wo alag, na yeh juda, Donon mein hai jagat basa. Prem, tyag aur sahajta ka, Shiv-Parvati amar misaal bana. Jo bhi man se inhe dhyaye, Bhakti ka phal zaroor paye. Jeevan ke sab dukh mit jaayein, Jab Shiv-Shakti mann bas jaayein.
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
