Rishta
Aaj college se ghar aate waqt, wapas dikhi thi tum mujhe.... Aaj bhi jab tum hasti ho, to tumhari aankhen chhoti ho jati hain..... Tumhara wo favourite perfume aaj bhi laga ke ghoomti ho.... Aaj bhi jab tumhe kahi se nikalna hota hai, to tumhare maathe par shikan aa jati hai, jo mujhe hamesha pyara lagta tha.... Baas, aaj kuch alag tha! Tumhe peela gulaab hamesha se pasand tha na, To aaj tumhare haath mein ye, ye laal gulaab kyu tha :( Shayad uske liye hoga, jiske liye tumne liya hai.... Par, Par ab main kya karta, tumhe dekh ke mann to bahut tha, tumhare paas jaane ka, hazaaron baatein karne ka, tumhe batane ka, ki mere saath kya kya hua... Par, Par ab hamara koi rishta nahi hai, kya bataun tumhe..... :( Bas yaadon ka ek paighaam aaya, Aur bahut si yaadein aankhon ke saamne aa gayin..... Aur bas ye samajh aaya ki, Hamesha se tumhe peela gulaab pasand tha, aur mujhe laal..... Aaj bhi usi choor par khadi ho tum, Kisi aur ke liye, uski pasand ka gulaab liye, Aur main apne haath mein ek sukha gulaab liye, Bas ek ummeed mein ki, tumhe to tumhara wo peela gulaab mil gaya, Fir shayad mujhe, Mujhe mera wo laal gulaab milega ya nahi... ಥ_ಥ
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
