“Pyaar Toh Dhadakta Hai…”
“Pyaar Toh Dhadakta Hai…” Kissi banjaare ne suraj mein tapti ret se pucha: "Ae ret, ye pyaar kahaan dhadak raha hai?" Ret ki pyaari si muskurahat ne jawaab diya: "Pyaar? Pyaar toh dil mein dhadakta hai." Par uski tooti, sukhi aankhon ka kuch aur hi kehna tha— "Pyaar? Pyaar toh mar gaya." Banjaare ne phir sawal uthaya: "Pyaar toh amar hai, toh phir kis liye dhadakta hai?" Aankhon mein barson baad nami thi... Ret ko thandak barson baad mili thi. Aankhon ne sitare ko phir ek dafa dekha: Pyaar toh dil mein dhadakta hai... Jab woh aankhen dekhti hain. Jab woh sapne sajati hain. Jab woh subah se shaam tak intezaar karti hain. Jab woh kaam ke bahaane Khidkiyon se taka jhaanki karti hain. Par... Pyaar ki chaandni mein suraj ko aana hi tha. Aakar sab kuch ek baar mein jalaana hi tha. Phir? Phir pyaar marta hai. Pyaar tab marta hai jab woh ankhe kissi aur ki ankon main ghum ho jaya Pyaar tab marta hai jab unke haath kissi aur ke haath ke shaukin ho jaya Pyaar tab marta hai jab uska man kissi aur ke piche pad jaye Pyaar tab marta hai jab unka pyaar kissi aur ke pyaar ke liye dhadakne lag jaye
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
