Pyaar kya hai?
Pyaar kya hai?✨ Pyaar ek ehsaas hai, Jo dil mein basta hai, Dil ki dhadkano ko, Jo baandhe rakhta hai. Atmayon ka mel hai pyaar, Aankhon ka milan hai pyaar, Haanthon mein haath hai pyaar, Ek saath chalna hai pyaar. Saath jeena hai pyaar, Saath marna hai pyaar, Ek doosre ko poojna hai pyaar, Ek doosre ka sahara hai pyaar. Premi ke rag rag mein hai pyar, Premika ko dekhkar muskurana hai pyaar, Ek doosre ko apnana hai pyaar, Khud ko bhool jaana hai pyaar. Mohobbat karne vaale ke liye- Khoobsurat hai pyaar, Ishq karne vaale ke liye- Dard hai pyaar. Kabhi intekaam toh kabhi intezar, Har ek bansuri se alag nikalne vaala Raag hai pyaar 🥀🥀
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
