Purn Viraam
Jindagi ki raah pe main jhoot pe sawar tha. Na Sach se vaasta Mera na jindagi se pyaar tha. Na Jeet se main vakeef hun, na haar se bejaar tha Andheron main ghar Mera ujalon se na pyaar tha. Raat bitaan karti thi, sawera aya karta tha Jism jaga karta tha, Par rooh soya karti thi. Ek din achanak se kahi, Jindagi ne dastak di. Hadso ki gunj main woh ansooni si rahgayi. Pukaar tere pyaar ki yeh shor kyun nigal raha? Cheen meri rahatey chupayi dard ne kahan? Haat Mera thamle main choottha hun Jaa Raha. pyaar ka sahara de main loottha hun ja raha. Bedardi meri sanson ko, koi maut ka upahaar de. Jhoot ki sawari ko ab anth ka viraam de.
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
