Nuskha-e-Gham
Raat bhar socha, kaise jeeyein yeh zindagi, Subah nahan ke keh diya — sab jaga hi roshni hai Mehfil mein poocha gaya — haal kaisa hai bhala? Kaha, “Aaj to ro ke aayi hai khushi.” Jis dard pe kab se thehri thi meri nigaah, Use log keh rahe the — kya shayari hai bhai! Dil ko thoda sambhala, dard ko thoda sajaa diya, Phir doston ke beech ek chutkula suna diya. Jo aansuon mein dooba tha, wo kissa chhupa liya, Aur kahaniyon mein bana ke use rula diya. Nameer poochhta raha sab se — “kya haal hai?” Khud pe aayi to keh diya — “sawal hi bekaar hai.”
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
