Mujhe Dosti Todni Thi
Mujhe dosti todni thi usse, par seedha kehna ajeeb lagta tha. Isliye socha, ek chhota sa test le lu, waise bhi woh khud ko bada imaandar samajhta tha wo. Ek moka diya — chori ka, na koi CCTV, na koi nazar. Bas imaan ka sawaal tha, aur usne bina dare, haath saaf kar diya. Maan gaya bhai, imaandari sirf jubaan tak thi, kaam aayi toh sirf jeb tak thi. Usko laga bada chaalaak kaam kiya, socha mera nuksan kar gaya, apna fayda le gaya. Jo socha tha usne, woh sirf ek galatfahmi thi, main toh dosti todna chahta tha, aur usne toh kaam aur bhi aasaan kar diya. Fir aaya explanation ka drama, khud ko sahi sabit karne ki puri koshish ki. Maafi bhi maangi, thoda ro bhi liya, lekin galti sirf lafzon mein thi... niyat toh waise ki waise hi thi. Main chup raha, hans ke sunta raha, andar se bas ek hi baat sochta raha — ki jisse apna samjha tha, usne hi sabse pehle paraya kar diya. Dosti chali gayi... koi baat nahi, par yakeen chala gaya majburi thi ki dosti todni hi padi
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
