Mohabbat Ka Aakhri Patta
Kaha tha na, mohabbat mein barbaad ho jaaoge, Tum se aap, aap se jaan, jaan se anjaan ho jaoge... Jise chaha tha dil se, wahi sabak ban jaayega, Pyaar ka har ek lamha phir dard ka sabab ban jaayega. Jo baatein kabhi rooh tak mehka karti thi, Wahi alfaaz ek din zehar ban jaayenge. Har chehra lagega uss ek chehre ki parchhaayi, Tum bheed pe rehe kar bhi anjaan ho jaaoge. Rishton ki kitaab mein tha jo pyaar ka ek panna, Ab uss pe bas aansuon ke nishaan reh jaayenge. Jin yaadon ko simat kar dil mein rakha tha kabhi, Un yaadon ke bojh tale khud hi bikhar jaaoge. Mohabbat thi, hai, aur rahegi ek aag ka dariya, Aur tum chalte chalte usmein hi jal jaaoge... Kaha tha na... yeh aasan silsila nahi hota, Ishq mein jeet chaho toh pehle khud se haara jaata hai, Tum bhi ek din khud ko haar kar, uski yaadon mein zinda laash ban jaaoge...
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
