Mil jaata mujhe saath jo tera.
Tumne pucha tha na ki mai agar tumhare saath hoti toh mai kya karta deta hu tumhe jawaab iska aur batata hu tumhe ki mai kya karta Sabse pehle toh mai tumhe bus ek tak niharata rehata tumhari woh pyaari se muskaan ke lamhon ko apni aankhon me kaid karta rehata Tumhari nazar utaar ke mai tumhe meri hi nazar se bachata rehata tumhare saath ke har pal ko mai bus apni yaadon me sajata rehata Tumhare baalon me uljha mai rehata tumhare in pyaari pyaari aankhon me doob ke mai baatein tumse hi bus karta rehata Har ghadi har kisi se mai tumhe bachata rehata dar lagta tumhe jo kabhi apni baaton se tumhe mai hasta rehata Soti jab tum tumhare khwaabon me aake mai tumse baatein karta saath me har pal mai tumhare saaye ki tarah bus chala karta Aankhon me tumhari kabhi ek aansu mai aane na deta tumhara har khwaab apna maan mai pura karta Hasti jab tum mere saamne wajah mai hota tumhari har ada ki nazar utaar ke mai tumhe apni hi nazron se bachata rehata Har pal har kisi ko bus tumhare kisse mai sunata rehata haath thaam ke tumhara mai duniya ke saamne bekhauf chala karta Apni har manzil ki raah mai tumhe banata jab bhi jaata mai mandir duaon me bhi bus tumhe hi mai maanga karta....
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
