Meri Maa
Kya kahun kaise kahun tabeer hun uss maa ki.. Kuch likhun ya na likhun, ghazal hun uss maa ki... Raaton ki neend udhane se subha ka khawaab toodne ki aadat hun maa ki.. Likhawat bhi,banawat bhi aur sajawat hun uss maa ki... Haathon main kalam aur sar pe saya,bas yun mano nisbat hun maa ki.. Wo hai to main hun aur wo na hai to kuch nai hun maa ki... Koyi maane ya na maane, kalmo kitab , ye jazba ye khitaab sab hun maa ki...
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
