Meri Kahaani
Kahi muskaan chhupi hai dhool ke neeche, Kahi jazbaat bikhar gaye bheege sheeshe. Sapno ka bojh liye chalta raha main, Har haar ke baad bhi jeeta raha main.Kisi ne poocha nahi, par likhta gaya main, Har dard, har khushi, sab sikhta gaya main. Raaston ne rok liya kai baar, Par dil ka junoon tha, kuch aur hi pyaar.Jo tha khoya, woh bhi sikha gaya, Jo mila, usne naya raasta dikha gaya. Ye zindagi meri kahani hai saaf, Na kisi ka jhoot, na koi naqaab.
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
