Meri Kahaani
Kahi muskaan chhupi hai dhool ke neeche, Kahi jazbaat bikhar gaye jaise bikhre ho kaanch ke sheeshe. Sapno ka bojh liye chalta raha main, Har haar ke baad bhi jeeta raha main. Kisi ne poocha nahi, par likhta gaya main, Har dard, har khushi, sab sikhta gaya main. Raaston ne rok liya kai baar, Par mein ruk na saka ek bhi baar. Jo tha khoya, woh bhi sikha gaya, Jo mila, woh naya raasta dikha gaya. Ye zindagi meri kahani hai saaf, Na kisi ka jhoot, na koi naqaab.
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
