MERE KUCH SAWAL π
Kyn na badlu main, tum wahi ho kya? Chalo galat hu main, tum sahi ho Kya? . Kuch sawal hain, unka jawab de paoge kya? . Sab kehte hai mere saath koi reh nahi payegi, Tum reh paoge kya? . Thoda sa bigda hua hun, Is awargi ko ghar de paoge Kya? . Kabhi apni zindagi ki jang me harun, Toh saath me har paoge kya? . Meri har ladai me, Mere saath lad paoge kya? . Zimmedariyan bohot hai, Unko bat paoge kya? . Gussa jyada aata hai, Use shant kara paoge kya? . Kabhi gumsum sa ho jaati hun, Us chupi ka karan jaan paoge kya? . Thodi kamosh rehti hun, Meri kamoshi me awaz ban paoge kya? . Feelings show karne mein thoda kaccha hun, Bina show kiye unko feel kar paoge kya? . kabhi galat ho jaun, Toh sahi kar paoge kya? . Yun toh sabke samne bada ban jaati hun, Par mere andar ke bacche ko pehchan paoge kya? . Kabhi kamzor pad jaun, Toh sahara ban paoge kya? . Sab kehte hai nalayak hun, Tum mujhme layak dhund paoge kya? . Yeh kuch sawal hai, Inka jawab de paoge kya? Is akdu ke saath, Pure zindagi reh paoge kya!?
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
