Mere Alfaz
Jab kabhi Kuch ehsas likhne ka irada Kiya Yakeen kar yaar tujhe yaad bahut zyada Kiya Jo purane magar chupe hue zakham the Yaad me Teri fir se unhe taza Kiya Yaar tujhe yaad bahut zyada Kiya Ek ek lafaz Tere mere zehen ki amanat se hai Ishq tujhse is Kadar Maine meri Jana Kiya Yaar tujhe yaad bahut zyada Kiya Ha haqiqat barhaq isse juda hai ab Tu Kisi or ke faile hue haatho ki Dua hai ab Maine bhi Waqaf apni zidagi Tere Naam pe Jana Kiya Yaar yakeen kar tujhe yaad bahut zyada Kiya Tazkira rehta hai mere Dil me hamesha tera Aaj bhi zinda hai Meri rooh me wajood tera Tu hi bta Maine kab tune aashna Kiya Yaar yaad tujhe bahut zyada Kiya
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
