Mein Jaanti Hu!!
Mein jaanti hu, saari ghatnaein hone ka karn mein hu Tumhari naarazgi ka karn bhi, Mein jaanti hu. Sach ki sachai jaan-ne ke liye gehrai mein utaar gayi hu Par mein samajh gayi ki mein ab sirf ek pareshani hu. Tumhe mera rona toh kya meri hansi bhi chubhti thi Tum yeh kehkar chalte bane Par dukhi toh mein hi thi. Meri awaaz sunn na kitna hi mushkil ho sakta hai, Mera chup-chup reh kar thak jaana bhi kya ek gunah hai. Meri yeh aazadi bhi kitni kaid-kaid si lagti hai Mera toh aasman ab 10 fut ka lagne lga hai. ~ CHIHIRO </3
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
