Mai shayar toh nahi....
Mai bhi likhta hu lekin mai koi shayar nahi lafzon ko apne mai sach kar saku waisi mujhme koi taakat toh nahi Tumhe har lafz me apne mai apna likhun kya tumhe apne saath maan kar apna har lafz mai pura rakhun aur lafzon ki maala pe bhi bus tere hi naam ki maala karun Tumhari baaton me baatein humari shayarana toh hai par hum shayar toh nahi tum ho toh meri lekin shayad puri toh nahi Meri raah ki dagar bhi asaan nahi tujhe yaad karke likhta hu mai lekin tujhe haasil kar sakta nahi Beshak mai chaand ki chaandni ki tarah tera saath chahta hu apne har lafz me tujhe apna batata hu lekin pata nahi kyu mai apne hi lafzon ko pura kar nahi paata hu Haa mai bhi likhta hu lekin mai koi shayar nahi lafzon ko apne mai sach kar sakun waisi mujhme koi taakat toh nahi....
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
