Mai beta nahi ban paungi
Paida hui to ghar me matam sa chaaya tha Dadi meri roothi thi, maa ne bataya tha Maine shayad itna sabko sataya tha Suna hai Mere aane par kisi ne Meetha nahi bantwaya tha Pyaar sabse Bharpoor mila tha pyar se sabne "beta" kaha tha Par beta keh Dene se kya Mai Kar paungi? Laakh jatan kar bhi shayad Mai beta nahi ban paungi Dadi ne khilaya apne haath se khana tha Mera pehla janmdin suna hai badi dhoom se manaya tha Par fir jab bitiya doosri aayi to logo ne maa ko bada sunaya tha Aur is baar bhi "laxmi" ke aane par kisi ne Meetha nahi bantwaya tha Mai nau din Navratri ke badi Aastha se pooji jaungi Par baba Bhairav ke bina mai kanjak kahan reh jaungi Laakh jatan kar bhi shayad Mai beta nahi ban paungi Do betiyon se chehekta ghar bhi soona lagta tha "Ek beta Kar lete hain"maine suna hai papa ne Esa kaha tha Kya kami hai mujhme maine socha us din bhi bahut tha Komal hath saada shareer pyara dil aur bada zameer iske bavajood bhi kya mujhme adhoora tha? Suna tha us din kisi ko kehte hue Jise beta hua usi ka to Parivar poora tha Mai Prem behad Kar loon tab bhi thoda peeche reh jaungi Laakh jatan kar bhi shayad Mai beta nahi ban paungi
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
