Kya vo ?
Kya soch Raha hoga vo, kya soch Raha hoga.. ? Kya sun paaya koi uski baatein? Kya?.... Use koi samjh paaya hoga?.. Kya usko bhi kuch kehna tha? Kya uska koi apna tha? Kya samjh paaya koi usko kabhi Kya?... Vo bhi immature kahelaaya hoga? Kya daraa - sahmaa sa rehta tha ? Kya khud mein ulajha rehata tha? Kya koi uska dosta tha ? Kya?.... vo akela rehata tha ? Kya koi use pasand tha ? Kya koi usko chhod chala tha? Kya gam me khud ko dubo kar khud vo sambhal paaya tha? Kya?..... Vo Sacha me thik tha ?
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
