kya ho tum ¿?
Kya Ho Tum Kisi ke barshon ka khwab Ya kisi ki zindagi ki haqiqat Kisi ki beimtiha chahat Ya sirf ek nadan si hasrat Ek suljhi hue kitab Ya ek uljhi si paheli Duniya ka ek ajuba Ya khuda ki harkat Btao na kya ho tum Kya ho tum samundar ki shant lehre Ya apne hi aap mein kayamat Na tal sake wo bala Ya chodi hue hifajat Ek beshkimti toufa Ya kisi aur ki amant Ye kudrat ka ek hissa Ya khud mein hi ek kudrat Ab bta bhi do kya ho tum Kya mere jeene ka maksad ho tum Ya sirf sanso ka ehsas Kya meri zindagi ka mehaj ek padao ho tum Ya ek nai si shuruaatk Kya meri lafz ki khamoshi ho tum Ya meri Kavita ki Alfaz Kya meri btae hue har baat ho tum Ya meri dil ka ek eklauta khwab Sunno ab bta bhi do na kya ho tum ?
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
