Koun hai tu ???
koun hai tu ? jo srishti chalata sabko prem tu deta hai . koun hai tu ? jo prem bhi dekar kuchh bhi na tu leta hai . koi tujhko Ram kehte , koi Shyam kehta hai . kya tu koi pani hai jo Ganga banakar behta hai? Kya tune sachme is prithvi ko banaya hai ? Shuru se lekar ab tak tune hi isko chalaya hai . koun hai tu? jo thak kar bhi na itna Bhar sah leta hai . kya tu sach me mandir ya masjid me aakar rehta hai ? kya tu koi shakti hai jo logo ko deta hai kya koi insaan hai tu Jo hum sab ke sang rehta hai tera koi ant nhi hai kha pe janm Liya tha tu? Tere Liye kai log mar gye dikhayi bhi nhi deta kyu ? koi kehta sab me tu hai fir bhi tujhko dhund rhe kya tu koi pathar hai jo mandir me sab pooj rhe ? tujhe dekhte ki mere andar bhi abhilasha hai ; aakar mere man me bas jaa ,ek chhoti si aasha hai......
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
