Khamoshi ka panna
Meri zindagi ki kitab ka sabse keemti panna tu hai Meri khamoshi ko padh sake jo Vo pyara apna tu hai Tu anmol hai is Dil ke lie Sada anmol hi hoga Chahe jindagi ka hamsafar Bhale koi aur bhi hoga Tu paas hota hai To khud ke sath apna sa lagta hai Dunia bhar ka dia jakhm bhi Bemani sapna sa lagta hai Rahe muskurata tu sada teri jindagi me Har gum se tu Azad rahe Har dua le jati hai mujhe teri khushiyo ki or Tu janmo janam aabad rahe.
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
