kaash koi mera hota.....
Aksar socha karta hu mai ki kaash koi mera hota aankhon me jhaank kar meri hi aankhon ko padhta Kaash koi mera hota mere liye puri duniya se lad mujhe sabke saamne apna banata Kaash koi mera hota mera har dard apna maan bus woh mujhe hasata Kaash koi mera hota mere kuch naa bolne par bhi mere dil ki har baat samajhta Kaas koi mera hota apne haathon se haath mere thaam duniya ke saamne bekhauf chala karta Kaash koi mera hota meri aankhon me jhaank meri aankhon ki baaton ko padhta Kaash koi mera hota meri khamoshi se meri baaton ko sun kar meri khamoshi ko samajhta Kaash koi mera hota jab rota mai kabhi mujhe apne gale se laga kar chhup karata Haa aksar socha karta hu mai ki kaash koi mera hota aankhon me jhaank kar meri hi aankhon ko padhta....
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
