Kaash!
Kaash hum kabhi mile hi na hote, Wo saari baatein kabhi hui hi na hoti. Dil ne jo khwaab dekha tha tere saath, Kaash wo nazar mein kabhi aaya hi na hota. Kaash apni baatein chupayi hoti, Apne jazbaat kabhi bayan na kiye hote. Jo pal tere saath guzaare, Kaash wo lamhe kabhi bitaaye hi na hote. Kaash main teri zindagi mein kabhi aaya hi na hota, Tere chehre ki muskaan ko kabhi paaya hi na hota. Dil ne jo ishq kiya tha tujhe, Kaash wo rasta kabhi chuna hi na hota. Ab har yaad bas chubhti hai, Kaash ye dil kabhi tujhse lagaaya hi na hota.
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
