Janamdin
Sawan ki boonden, khushbu se bhare, Mahadev ke geet har kone mein kahe. Us pavitra mahine mein janma mera, Shiv ka vardaan, sabse pyara savera. Har saal July ka woh din aata hai, Dil mein bhakti ka deep jalaata hai. Bel-patra, rudraksh aur gangajal saath, Mera janamdin hota hai Shiv ke saath. Mandir ki ghanti, shankh ki dhun, Dilon mein bajti ek pavitra sun. Mujhe lagta hai, Shiv ne likhi meri kismat, Unki kripa se hai jeevan ki har baat. Na sirf cake, na sirf wishes ka saath, Mujhe milta hai Mahadev ka vishwas. Har saans mein unka naam basa hai, Mera janamdin sawan me ek chamatkar jaisa hai. Doston ka pyaar, parivaar ka gyaan, Aur Shiv ka ashirwad – mera asli dhan. Sawan mein hua mera janm jab, Tab se hi ban gaya hai unka ek bhakt sabse anmol ratan.
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
