Ijazat
Hai ijazat toh keh doon kya, Jo dil mein hai woh sab bayaan kar doon kya? Khabar hai mujhe ke khamoshi bhi ek guftagu hai, Magar jo dafan hai seene mein, aaj use zubaan de doon kya? Kab tak rakhein haqeeqat ko raaz, Yeh raaz ab aashkaar kar doon kya? Kahin der na ho jaaye yeh soch-soch kar, Har darr ko mita kar aaj izhaar kar doon kya? Jo saanson mein ghula hai khushboo ki tarah, Use apni zindagi ka aitraaf kar doon kya? Agar hai ijazat toh pukaar loon tujhe apna kehkar, Meri har saans, har chaahat aaj tere naam kar doon kya? -Uzz 🖤
·0 views·Sep 25, 2026
