FOR MY FOREVER LOVE🙂
Tere Bina" Tere jaane ke baad, zindagi ruk si gayi hai… Jaise ghadiyaan chal rahi ho, par waqt tham gaya ho. Har raat chand se poochta hoon, “Uska chehra kyun dikhata hai?” Wo chup rehta hai… shayad chand bhi teri yaadon ka shikaar hai. Hawa jab guzarti hai, teri khushboo le aati hai, Aur main beh jaata hoon uss lamhe mein, jahan tu abhi bhi mere saath hoti hai. Log kehte hain mohabbat sirf ek daastaan hoti hai, par meri daastaan adhoori hai… na anjaam mila, na qissa khatam hua. Tere bina dil dhadakta toh hai, par jeeta nahi… Rooh chalti toh hai, par mehsoos karti nahi. Mohabbat… shayad sach mein kabhi marta nahi, wo bas roop badal leta hai — Yaadon mein, khamoshi mein, aur aansuon ki boondon mein. Aur main… aaj bhi khud se chupakar, teri taraf hi jeeta hoon, teri taraf hi rota hoon. --Bhabani_BT
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
