Ek woh din
Things which can't share with others are written .... Ek wo din Ek wo din tha jab ammi bol rahi thi, 'Nahi, tu mat ja hostel,' aur mai keh rahi thi, 'Main jaaungi.'" jab mujhe kyu wo ammi ka dard,emotion q fell nahi hua Ab jab hostel mein hoon, toh samajh aa raha hai." Ek wo din thi jab ammi se 24 hours baat karte rehte the, aur dekhte the. Aur ab ye din hai, bas 5 minute baat karke rakh deti hoon." Ek wo din thi jab ammi naye naye chize banakar khilate thi aur ab ye din Jana har Roz dal khana khana padh Raha hai Ek wo din thi jab bina wajah abbu se paise maang leti thi, aur ab ye din hai jahan har ek rupye ko dekh-dekh kar kharch karna pad raha hai Ek wo din thi jab kuch dekh na hota to sab saat milkar dekh thi rehte thi aur ab ye din jahan akele dekhna padh raha hai Ek wo din thi jab ammi aur abbu ki dant sunkar thaang aajate thi aur ab ye din jahan ammi aur abbu ki daant sun ne le leye kaan taras rahe hai Ek wo din thi jab raat me needh nahi aate toh ammi ki saat gossips krte thi aur ab ye din jahan ammi se baat krne bhi network dhundna padh raha hai Ek wo din thi jab khana ke man na hota, toh ammi khila deti thi. Aur ab ye din hai, jahan khana ka man na ho, toh bhi khana padhta hai .
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
