Ek hi udaan
Banaat ek hai dono ki, fir ye kaisi deewar hai? Hunnar dono ke hathon mein, fir kyun bhed ka bhaar hai? Samaj ne baant diya aangan, mard ko khula aasmaan diya, Aurat ki har koshish ko, bas 'rasoi' ka hi naam diya. Wahi soch, wahi taqat, wahi sapne aankhon mein hain, Fir kyun bandishein sirf betiyon ki raahon mein hain? Zamaana badal raha hai ab, ye reet ab purani hai, Dono hi is duniya ki ek barabar kahani hain.
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
