Ek din bhool jaaunga tumhe
Kabhi kabhi socha karta hu mai ki ek din tumhe puri tarah bhool jaaunga mai Haa ek din bhool jaaunga mai tumhe tumhare saath ke vaadon ko raaton me mili un saugaton ko Haa ek din bhool jaaunga mai tumhari yaadon ko raaton raat hua karti thi jo un baaton ko Haa mai ek din tumhe bhool jaaunga tumhari yaadon se aage bhad mai apni jindagi ko ek naya mukaam de jaaunga Haa ek din mai tumhe puri tarah bhool jaaunga lekin afsos is baat ka hai ki shayad fir kabhi mai kisi aur ko us tarah firse naa chah paaunga Haa mai bhool jaunga tumhe tumhari yaadon ko jo aitbaar tum kiya karti thi mujhse un sabhi adhure aitbaaron ko Jis din jis pal mai tumhe bhool jaaunga yaqeen maano mai khudse aur duniya se ek jung jeet kar bhi haar jaaunga Haa kabhi kabhi socha karta hu mai ki ek din tumhe puri tarah bhool jaaunga mai....
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
