Dost Kyu Nahi...
Ek ladke aur ek ladki ki dosti aksar chhup kar hi hoti hai duniya hoti hai be khabar unse aur unhe unki saadagi ki aadat hoti hai Kacchi umar ke ye rishte aksar pakke hote hai lekin humare samaaj ka khel bhi toh dekho ye is rishte ko bin kuch soche pyaar ka naam dete hai Aakhir kyu ek ladka aur ek ladki dost ho sakte nahi ek school me padhte toh hai lekin kabhi saath baith sakte nahi Ek ladke aur ek ladki ki dosti par pura samaaj bhi nazar rakhta hai samjho jara is duniya me pyaar se bada ek dosti ka rishta bhi hota hai Pyaar dosti hai har jagah suna jaata hai kya ye sach hai ki ek ladke ki naa me bhi kahin na kahin ek haa chupa aata hai Aaj ek sawaal hai aapse kyu ek ladke aur ladki ka bus pyaara kaa rishta hota hai dosti kaa nahi kyu milte hai woh chhup kar aksar khul kar kyu nahi...
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
