Dear Maa❤️😊......
Sabke liye likh liya toh kyu naa aaj ek baar fir apni maa ke liye likh liya jaaye unke aanchal kyu naa ek baar firse khudko samet liya jaaye Maa ka aanchal bada hi pyaara hota hai pyaar ke saath saath maa ki mamta ki chaaya tale har baar hume apne aanchal me chupata hai Maa ka aanchal kisi jannat se kam nahi bin maa ke mera yahan koi kaam toh kya mera koi naam tak nahi Maa chahe jitni thaki ho aaraam nahi karti baccha jab pareshan ho unka woh puri raat so nahi paati Meri maa se mila naam mujhe meri maa se mili pehachaan aaj meri sabse pyaari ko karta hu mai apne dil se salaam.....
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
