Bhavishya
Kuchh kuchh Dhundhla hua sa vartaman le Vo bhavishya ko niharta hai Dil me kai ansuljhe sawaal le Wo apratyaksh kal me jawaab talashta hai Ke abtak mili nakaamiyabi se Kabhi dar sa lagta hai Shan bhar hi sahi par Kal ka soch ke hriday dehelta hai Kabhi kabhi use khud ke hi liye faisale pe Kuchh sankoch sa hota hai Wo jis manzil ki talaash me hai Uska tanik nishaan na dekh ghabra sa jaata hai Firbhi us anjaan manzil ki talaash me ghabraya hua hi sahi par chalta jaata hai Marg saral nahi hai uska Yahan kai badha hai Jo baar baar use yeh ahsaas dilati hai Ke tu bekaar hi namumkin manzil ki talaash me hai Par fir bhi wo apna sapna liye Nirantar Chalta jaata hai Apratyaksh hi sahi bhavishya nihaarta hai -Rooh
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
