Baazaru
Yahan, Achhai se log khafa hain, Par mera jhoot bemisaal hai. Bura agar yeh zamana nahi, Phir mera sach kyun nilam hai? Bewafai ka ibadat hota yahan, Par mohabbat ek tamasha hai. Jo roshan tha kabhi chirag sa, Aaj dhundhla sa ek qissa hai. Woh jo dil ke kareeb the, Aaj yaadon ka ek dariyaa hai. Woh dawa wafadari ka karte the, Par nibhaya to humne hai. Bik chuki hai mohabbat yahan, Aankhon mein ab bhi pyaas hai. Jise maanga tha duaon mein, Usi haathon se hum barbaad hai. Meri wafa ka yeh silsila, Dil ke raste aake bikhra hai. Pyaar ki mehfil saja hi tha, Bas armaanon ka dhaga tuta hai. Ishq likha tha kitaabon mein, Par sachayi toh kuch aur hai. Jism bikta hai bazaron mein, Rooh ka kya yahan mol hai? Yah dastoor hai zindagi ka, Jisme mohabbat ek sauda hai. Mann ke sheeshe bikhar gaye, Aur khwab zakhmon se bhara hai. Meri duniya bas ek mazak thi, Aur unka hawas ka rang bhi pyaar hai. Jo roshan the kabhi rishte, Aaj unmein khamoshi ka shor hai. Na koi apna, na koi shayar, Na mere pyaar ka koi maqaam hai. Main tawaif hoon us kothe ki, Jiska jism yahan bazaaru hai.
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
