Baatein
Intezar karta rehta hu mai. Har din, har pal, har shaam, har raat. Woh ayegi aur mujhse kuch baatein karegi. Woh ayegi aur hum bohot saari baatein karenge. Kuch uski baatein. Kuch meri baatein. Aur kuch humari baatein. Waqt bohot keemati hai hum dono ke liye. Par uss waqt se waqt har roz mangta hu mai. Kya karu pyaar jo karta hu uss se. Agar kuch pal bhi usse akela chora toh bura lagta hai mujhe. Kahi usse akelapan toh mehsus nhi hota ? Kahi usse meri yaad toh nhi arhi hai? Aur kayi betuke sawal zehen meh ate hai. Puree din ke baad jab ghar laut ta hu. Maano andhera ghar kaatne ko daudta hai. Uss andhere meh akelapan hai. Uss andhere meh pareshani hai. Uss andhere meh dar hai. Par unn sab ka ilaaj uske paas hai. Aur shayad ishiliye uska awaz khaas hai. Aur shayad tabhi intezar rehta hai uska. Ki woh aegi, aur hum kuch baatein karenge. Kuch uski baatein Kuch meri baatein. Kuch humari baatein. Par kya usse mera intezar hai ? Kya usko mujhse pyaar hai? Kya mera awaz khaas hai ? Kya usse mera intezar hai ? Kayi saare sawal hai... Aur jawab sirf ek "Sabr". Aur mujhe ab bhi uska intezar hai. Uski har chiz se mujhe pyaar hai Haaa mujhe pyaar hai.
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
