Baap
Sabko ashwasan de Khud akele me rota hai Wo Baap hi toh hota hai Jab bhi koi musibat aaye Sabke samne has kar sehta Khud toot jaye Magar dat kar khada rehta hai Wo Baap hi toh hota hai Khud ki jarooratein daba Meri icchaon Ko poora karta hai Akhir wo Baap hi toh hota hai Jaroot padne par datata hai Par Bina jataye bhi Pyar beshumaar karta hai Wo Baap hi toh hota hai Khud Ko dhaal Bana Har waqt mere samne khada hota hai Mujh par aayi musibat Ko Wo has kar sehta hai Wo Baap hi toh hota hai Meri kamiyabi me Mujh se jyada khush hota hai Par meri nakamiyabi me Dukhi hote hue bhi Mera hosla badhata hai Akhir wo Baap hi toh hota hai
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
