Arz Kiya Hai
"Arz Kiya Hai" Sab likh kar gaye, Maine bhi kuch likha hai. Arz kiya hai… Sabne tumhari khubsurti ko dekha, Par maine tumhe dekha hai, Isliye kuch arz kiya hai. Na mehengi toffee la sakta tha, Na la paunga kabhi, Par tumhare liye kuch likha hai, Arz kiya hai… Na chand la paunga, Na koi la sakta hai, Par tumhari yaad ke liye Dil se kuch likha hai. Arz kiya hai… Mana tum ja chuke ho, Par main udhar hi hoon, Isliye kuch likha hai… Arz kiya hai.
Ad
Poetry Books 50% Off
Bestselling collections from top poets
Shop Now →
